ye bad-qimash jo ahal-e-ata bane hue hain

ye bad-qimash jo ahal-e-ata bane hue hain
bashar to ban nahin sakte khuda bane hue hain

main jaanta hun kuchh aise azim logon ko
jo zulm sah ke sarapa dua bane hue hain

wo mujh se hath chhuda le to kuchh ajab bhi nahin
use khabar hai ki haalat kya bane hue hain

ludhakta jaun kahan tak main sath sath un ke
mere sharik-e-safar to hawa bane hue hain

tu khalwaton mein unhen dekh le to dar jae
ye jitne log yahan parsa bane hue hain

kabhi-kabhaar to aisa guman guzarta hai
hamare hath ke arz-o-sama bane hue hain

hamin se ho ke pahunchna hai tum ko manzil tak
guzar bhi jaana ki hum rasta bane hue hain

hazaron log bichhadte rahe hain mil mil kar
so zindagi mein bahut se khala bane hue hain

kisi se mil ke bane the jo zard lamhon mein
wo sabz-khwab mera aasra bane hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close