ye baje ye gaje ye mele ye Thele

ye baje ye gaje ye mele ye thele
ye sab jite ji ke hain sare jhamele

zaban pe meri qufl hi lag gaya jo
mile bhi kahin wo akele-dukele

yaqinan wo insan bar-e-zamin hai
phali phod kar jo na de dukh na jhele

wo miskin surat nazar bholi-bhaali
magar baat aisi ki bas chutki le le

wo but aaj be-tarh gum-sum bana hai
na kuchh munh se bole na kuchh sar se khele

tumhaari mohabbat mein ai jaan hum ne
sada dukh hi jhele hain papad hi bele

girah do girah ki langoti mein hum sab
rahe mast-o-be-khud sada phag khele

nachaya hai wo nach tigni ka tum ne
ki insan se ban gae hum bhundele

nahin sha'iri mein hua koi ham-sar
na aire na ghaire na milton na shelley

tumhaari talawwun-mizaji ke sadqe
gahe shahd ho gah kadwe karele

'zarif' aap ka rang hai sab se chokha
zarafat mein hain aap 'akbar' ke chele


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close