ye be-nawai hamari sauda-e-sar hai ghar mein basa diya hai makan khali hai lekin is ko nigar-khana bana diya hai tamam umr-e-aziz apni isi tarah se ganwai hum ne kabhi jo soe to khwab dekha kisi ne hum ko jaga diya hai na kuchh raha hai ki hum hi rakhte na kuchh bacha hai ki tum ko dete mata-e-dil thi luta ke aae jo qarz-e-jaan tha chuka diya hai ye shan dekho qalandaron ki hai jis pe dar-o-madar-e-hasti wo aashiyan phunk kar har ek shakh par nasheman bana diya hai ye zindagi ki sitam-zarifi nahin to phir aur kya hai 'azar' wo jin ki khatir bhatak rahe hain unhi ne hum ko bhula diya hai