wahi talluq-e-khatir jo barq-o-baad mein hai dil-e-sitam-zada ki hasrat-o-murad mein hai har ek ahd ki hoti hai ek khususiyyat hamare daur mein yaksaniyat tazad mein hai kisi natije pe pahunche hain ghaur-o-fikr ke baad to ye ki sara jahan ek gard-baad mein hai agar nazar ho to padh lo payam-e-bedari fasil-e-shahr pe likkha hua fasad mein hai wo baat sari kitabon mein mil nahin sakti jo inqalab ke chhote se istinad mein hai wahi asas-e-mohabbat bhi hai aqidat bhi wo e'timad ka pahlu jo e'tiqad mein hai wahi to fan mein riwayat ki ruh hai 'azar' wo ek chhota sa nukta jo ijtihad mein hai