ye bhi qissa tamam kar aaya

ye bhi qissa tamam kar aaya
aaj chaukhat pe jaan dhar aaya

wo jo ek ghar tha mere purkhon ka
mere hisse mein kab wo ghar aaya

kis tamanna se ghar se nikla tha
par mujhe ras kab safar aaya

imtihan khatm hi nahin hote
kitne maqtal main par kar aaya

chahaten bantin nafraten pain
bij kya boya kya samar aaya

de ke aawaz har taraf tujh ko
har taraf se main be-khabar aaya

dil kisi khauf se agar dhadka
lab pe ek nam be-khatar aaya

teri nisbat se mere kaghaz par
harf jo aaya mo'atabar aaya

dil mohalle se jab bhi guzra 'adil'
tu hi galiyon mein bas nazar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close