ye bhuke log jis din ghar se sadkon par nikal aae karoge kya agar in be-paron ke par nikal aae bahut hushiyar logo is nai tarikh ke hathon na jaane kab tumhaara ghar kisi ka ghar nikal aae kahin ke phul patte hain kahin ke phal kahin ke hain ajab se ped ab bhaarat ki dharti par nikal aae jahan sab bik raha ho us jagah aisa bhi mumkin hai mere hi qatl ka ilzam mere sar nikal aae dar-e-taqdis ko jab wa kiya to qasr-e-hurmat se bataun kis zaban se kitne saudagar nikal aae tumhaara aur tumhaare nazm ka us roz kya hoga kabhi socha hai diwaron mein jis din dar nikal aae 'saadat' aap is dida-waron ki bhid mein dhunden bahut mumkin hai in mein koi dida-war nikal aae