zindagi ki kaifiyat ab ye hai KHas-o-am ki

zindagi ki kaifiyat ab ye hai khas-o-am ki
subh ko hoti hai jo haalat charagh-e-sham ki

kha rahe hain rotiyan jo chain se aaram ki
likh rahe hain kaifiyat wo gardish-e-ayyam ki

jis mein sab nange hain jo nanga nahin wo bhi shumar
aur yahi ek khasiyat hai apne is hammam ki

chehra-e-haalat ko achchhi tarah padh aur phir
aaj ki duniya bata rawan ki hai ki ram ki

aashti aahistagi zinda-dili uftadgi
zindagi mein gar nahin to zindagi kis kaam ki

falsafe aur falsafon ka hal sabhi mil jaega
baith fursat se rubaiyat padh khayyam ki

kis tajassus mein 'saadat' aur kis tahqiq mein
subh apni dopahar ki dopahar ki sham ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close