ye canwas pe jo zard chehra bana rahe hain tumhein khabar ho khizan ka naqsha bana rahe hain ajib ghar hai jo tiliyon se bana hua hai hum is mein mitti se ek parinda bana rahe hain chhupa rahe hain badi mahaarat se aib un ka tabhi to chehre ka ek hissa bana rahe hain hawaen kirnen parind khushbu guzar sakenge ise daricha na samjho rasta bana rahe hain bana rahe hain hum ek painting mein ek patri aur us mein mazi ka ek lamha bana rahe hain