bhar to de maut zara umr ke paimane ko waqt likkhega lahu se mere afsane ko dushman-e-jaan hi sahi rahbar-e-manzil na sahi raushni maut dikhati rahi parwane ko gham ghalat hote the maikhane mein kal ki hai ye baat mauj-e-gham aaj baha le gai maikhane ko dast-e-himmat ki hai tauhin dua kya karta aar samjha kiya taqdir badalwane ko panw se un ke nikalte hue dekhi hai zamin hath se rakh bhi na pae the jo paimane ko rah-e-tadbir mein hail ho to kaba dha den aaj sine se lagae hain jo but-khane ko koshish-e-zabt ne chehre ki badal di rangat kis ne roka tha sitam kar ke tadap jaane ko ab ye qismat ki rahun zauq-e-amal se mahrum sar pe aankhon pe rakha aap ke farmane ko kuchh junun ne bhi tamasha-e-khabar dekh liya kitne diwane bane dekh ke diwane ko