ye chalti-phirti si lashen shumar karne ko

ye chalti-phirti si lashen shumar karne ko
bahut hai kaam sar-e-rahguzar karne ko

guzar rahe hain ba-ujlat bahaar ke ayyam
pada hai rakht-e-badan tar tar karne ko

gale ki samt mere apne hath badhte hain
raha hi kya hai bhala e'tibar karne ko

badan ko chat liya hai siyah kai ne
abhi to kitne samundar hain par karne ko

abhi se chand sitaron ki aanhken pathrai
padi hai raat abhi intizar karne ko

samajh mein aa na saki ye ada gulabon ki
chaman mein aate hain sina figar karne ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close