be-sabab ho ke be-qarar aaya mere pichhe mera ghubar aaya chand yaadon ka shor tha mujh mein main use qabr mein utar aaya us ko dekha aur us ke baad mujhe apni hairat pe e'tibar aaya bhul baitha hai rang-e-gul mera dil partaw-e-gul pe itna pyar aaya ek duniya ko chahta tha wo ek duniya mein us pe war aaya sans leti thi koi hairani main jise lafz mein utar aaya kuchh na aaya hamare kase mein aur aaya to intizar aaya kab mujhe us ne ikhtiyar diya kab mujhe khud pe ikhtiyar aaya bar-e-wahshat koi uthata kya so digar bar dil pe bar aaya