ye chupke chupke na thamne wali hansi to dekho wo sath hai to zara hamari khushi to dekho bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho nikal ke kamre se ek nazar chandni to dekho jagah jagah seel ke ye dhabbe ye sard bistar hamare kamre se dhup ki be-rukhi to dekho damak raha hun abhi talak us ke dhyan se main bujhe hue ek khayal ki raushni to dekho ye aakhiri waqt aur ye be-hisi jahan ki are mera sard hath chhu kar koi to dekho abhi bahut rang hain jo tum ne nahin chhue hain kabhi yahan aa ke ganw ki zindagi to dekho