roz-e-firaq har taraf ek intishaar tha main be-qarar tha to jahan be-qarar tha naqsh-e-tilism mera dil-e-dagh-dar tha tha din ko phul raat ko sham-e-mazar tha yaadash-ba-khair yaad hain dil ki musibaten pahlu mein ek sitam-zada-e-rozgar tha allah re sham-e-gham mere dil ki shikastagi taron ka tutna bhi mujhe nagawar tha wahshat-taraaz thi kashish-e-sham-e-be-kasi marqad se apne dur charagh-e-mazar tha kya dete hum kisi ko dua-e-salamti apni hi zindagi ka kise e'tibar tha 'simab' nala kar ke pashemaniyan fuzul wo kaam kyun kiya jo unhen nagawar tha