ye dar ye taq ye chaukhat ye ghar malal ka hai safar mein jitna hai zad-e-safar malal ka hai main kaisi saat-e-bad-bakht mein muqayyad hun dua khushi ki hai zahir asar malal ka hai ruki hui hai hayat ek ajab dorahe par idhar hansi ka ijara udhar malal ka hai sajae rakkha hai hum ko ana ki suli par koi agar hai to bas ye hunar malal ka hai sambhaal rakkha hai ab jis qadar hai sarmaya ziyaada kuchh nahin bas ek ghar malal ka hai rawan hun main usi jaanib jidhar hai wo basti mere liye to ye sara safar malal ka hai lagae rakkhenge sine se us ko hum ai 'tur' hayat mein koi tukda agar malal ka hai