ye dard-e-hijr aur is par sahar nahin hoti kahin idhar ki to duniya udhar nahin hoti na ho rihai qafas se agar nahin hoti nigah-e-shauq to be-baal-o-par nahin hoti satae jao nahin koi puchhne wala mitae jao kisi ko khabar nahin hoti nigah-e-barq alawa mere nasheman ke chaman ki aur kisi shakh par nahin hoti qafas mein khauf hai sayyaad ka na barq ka dar kabhi ye baat nasib apne ghar nahin hoti manane aae ho duniya mein jab se ruth gaya ye aisi baat hai jo darguzar nahin hoti phirunga hashr mein kis kis se puchhta tum ko wahan kisi ko kisi ki khabar nahin hoti kisi gharib ke nale hain aap kyun chaunke huzur shab ko azan-e-sahar nahin hoti ye mana aap qasam kha rahe hain wadon par dil-e-hazin ko tasalli magar nahin hoti tumhin duaen karo kuchh mariz-e-gham ke liye ki ab kisi ki dua kargar nahin hoti bas aaj raat ko timardar so jaen mariz ab na kahega sahar nahin hoti 'qamar' ye sham-e-firaq aur iztirab-e-sahar abhi to chaar-pahar tak sahar nahin hoti