sau rang hai kis rang se taswir banaun mere to kai rup hain kis rup mein aaun kyun aa ke har ek shakhs mere zakhm kurede kyun main bhi har ek shakhs ko haal apna sunaun kyun log musir hain ki sunen meri kahani ye haq mujhe hasil hai sunaun ki chhupaun is bazm mein apna to shanasa nahin koi kya karb hai tanhai ka main kis ko bataun kuchh aur to hasil na hua khwabon se mujh ko bas ye hai ki yaadon ke dar-o-baam sajaun be-qimat-o-be-maya isi khak mein yaro wo khak bhi hogi jise aankhon se lagaun kirnon ki rifaqat kabhi aae jo mayassar ham-rah main un ke teri dahliz pe aaun khwabon ke ufuq par tera chehra ho hamesha aur main usi chehre se nae khwab sajaun rah jaen kisi taur mere khwab salamat is ek dua ke liye ab hath uthaun