ye dastan-e-shab-e-hijr kaun sunta bhala junun bhi is ko kahan tak bayan karta bhala koi to sath ho rone ko aur hansne ko akela aadmi hansta bhala na rota bhala sadaen tut gain aur samaaten pighlin ki aise shor-e-qayamat mein kaun sunta bhala wo aae bazm mein puchha hamein chale bhi gae hamari aankhen thin pur-nam nazar kya aata bhala ayaadaton ke liye jaana us ki aadat thi wagarna dekhne 'safiya' tumhein wo aata bhala