hamare mushtarak ehsas ka manzar bhulawa hai yazidi gardanon par khak aur khanjar bhulawa hai parinde ghonslon se dur ab aakash mein jaen zamin ki mamta kya hai muqaddar gar bhulawa hai hum ab ke khushk-sali par qanaat kar nahin sakte lahu ki fasl se dharti hui banjar bhulawa hai hamari aankh mein har roz ek ummid lahrae hamari mutthiyon mein khwab ho behtar bhulawa hai sadak ke hadse mein hum bhi ek din dher ho jaen ye ghazlen sher aur daftar miyan 'safdar' bhulawa hai