ye daud-dhup ba-har-subh-o-sham kis ke liye bas ek nam ki khatir ye nam kis ke liye mera wajud ba-sad ehtimam kis ke liye tamam umr jala subh-o-sham kis ke liye yahan to koi nahin unghte diyon ke siwa bhara hai tum ne mohabbat ka jam kis ke liye umand padi hai khudai ajib aalam hai suna gaya wo saza-e-dawam kis ke liye bahut kathin hai mohabbat ki naz-bardari wo shakhs chhod gaya hai ye kaam kis ke liye ye rah-o-rasm zamane se kis ki khatir hai ye har kisi se dua-o-salam kis ke liye wahi jo khun ke pyase the kal talak 'nazim' ye mithe bol ye shirin kalam kis ke liye