ye daur guzra kabhi na dekhin piya ki ankhiyan khumar-matiyan kahe the mardum sharabi un kun nikal gain apni de ghalatiyan siwae gul ke wo shokh ankhiyan kisi taraf ko nahin hain raghib to barg-e-nargis upar baja hai likhun jo apne sajan kun patiyan sanam ki zulfan ko hijr mein ab gae hain mujh nain hain khwab rahat lage hai kanta nazar mein sona katengi kaise ye kali ratiyan jo shama-ru ke do lab hain shirin to sabza-e-khat baja hai us par zamin pakdi hai tutiyon ne sunin jo mithi piya ki batiyan khayal kar kar bhatak raha hun nazar jo aae tewar hain banke banao banta nahin hai 'naji' jo us sajan ko lagaun chhatiyan