ye dhund ye ghubar chhate to pata chale suraj ka haal raat kate to pata chale chehron ke khad-o-khal salamat hain ya nahin ab aainon se gard hate to pata chale zulmat ke karobar mein us ka bhi ek din chehra ghubar-e-shab se ate to pata chale ummid ki ye nannhi kiran wahima na ho ab chadar-e-siyah phate to pata chale bikhra hua hai mera qabila kahan talak saughat-e-dard phir se mite to pata chale ghar mein wo ek purani si taswir thi ki hai sail-e-bala ka zor ghate to pata chale