mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi maqam-e-bandagi de kar na lun shan-e-khudawandi tere aazad bandon ki na ye duniya na wo duniya yahan marne ki pabandi wahan jine ki pabandi hijab iksir hai aawara-e-ku-e-mohabbat ko meri aatish ko bhadkati hai teri der-paiwandi guzar-auqat kar leta hai ye koh o bayaban mein ki shahin ke liye zillat hai kar-e-ashiyan-bandi ye faizan-e-nazar tha ya ki maktab ki karamat thi sikhae kis ne ismail ko aadab-e-farzandi ziyarat-gah-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad meri ki khak-e-rah ko main ne bataya raaz-e-alwandi meri mashshatgi ki kya zarurat husn-e-mani ko ki fitrat khud-ba-khud karti hai lale ki hina-bandi