ye dil ab mujhse thoDi der sustane ko kahta hai

ye dil ab mujh se thodi der sustane ko kahta hai
aur aanhken mund kar har baat dohrane ko kahta hai

hamari gumrahi ki baat hi chhodo ki har jada
kahin tak khud ko ab hum se hi pahunchane ko kahta hai

rahi ho wajh koi bhi alag to ho gae the sab
ye mujh mein kaun phir sab ko bula lane ko kahta hai

meri mushkil ko lekin koi jaane bhi to kya jaane
qadam jo bhi badhata hun palat aane ko kahta hai

raha yun umr bhar ja-e-aman pane ko sar-gardan
mera saya bhi ab mujh mein sama jaane ko kahta hai

bahut arsa hua mahsus tak hum ko kiye aisa
koi hum ko akela chhod kar jaane ko kahta hai

kahin hum aaen jaen to zara khul jaen bhi khud par
yahan har sans jaise khud se katrane ko kahta hai

idhar sach hai akela chal raha hai khoya khoya sa
barabar chal raha hai jhut apnane ko kahta hai

yahin hum ghar mein hote hain to phir kyun 'talkh' aisa hai
har ek lamha hamein jis tarah ghar aane ko kahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close