ye dil hi jalwa-gah hai us khush-khiram ka dekha to sirf nam hai bait-ul-haram ka mani mein lafz ek hai ye rabb-o-ram ka hasil ye hai ki hai wahi hasil kalam ka dekha to sab haqiqat-o-mani mein ek hain surat mein garche farq hai aapas mein nam ka us la-makan ka koi muayyan nahin makan gar hai to dil thikana hai us ke maqam ka masrur teri mai se ek aalam hai saqiya ummid-war main bhi hun do ek jam ka aaghaz-e-ishq mein gaya dil hath se mere anjam kya ho dekhiye ab mere kaam ka lete hain chur karne ko hi sang-dil huzur kiya hai wagarna shisha-e-dil un ke kaam ka