ye diya khun se jala phir bhi jala hai to sahi lakh rasman hi mila mujh se mila hai to sahi an-kahi baat samajh lo to badi baat hai ye meri khamosh nawai mein sada hai to sahi dagmagata mujhe dekhe to sahaara de koi ye jo laghzish hai to laghzish ka maza hai to sahi bhigi aankhen ye batati hain ki sun kar mera haal kuchh na kuchh tujh ko bhi ehsas hua hai to sahi kahen maghrur ko badmast magar sach ye hai inkisari mein bhi apna hi nasha hai to sahi zindagi bhar meri hasti mein racha ho jaise tujh ko dekha nahin mahsus kiya hai to sahi kawish-e-zist hai kya apni hi hasti ki talash khud ko pa lena hi insan ka sila hai to sahi hai jo aazurdagi us ki dam-e-rukhsat 'adil' tujh ko andaza-e-tajdid-e-wafa hai to sahi