hun shamil sab mein aur sab se juda hun main khud ye sochta rahta hun kya hun hisar-e-zat se bahar nikal kar main har surat mein tujh ko dhundhta hun wo mujh se dur bhi hai pas bhi hai kabhi main apne dil mein dekhta hun main khud kuchh bhi nahin hun ye bhi sach hai nawa wo hai magar main ham-nawa hun kabhi main apne aalam mein nahin hun kabhi raazi kabhi khud se khafa hun mujhe kab tak is aalam mein rakhega teri kya maslahat hai sochta hun tamasha-gah-e-hasti ki na puchho main khud hi ibtida khud intiha hun mujhe jalwat mein kya kya dekhna hai abhi khalwat mein masruf-e-dua hun 'raza' ek banda-e-ajiz hun main to wahi likhta hun jo kuchh dekhta hun