ye duniya dur tak ka silsila nain

ye duniya dur tak ka silsila nain
hamein us ke liye kuchh sochna nain

ye putla is qadar maghrur kyun hai
to kya ye aasmanon se gira nain

bahut pahle ye din aane se pahle
jo hona tha abhi tak bhi hua nain

sabhi haq faisle ke muntazir hain
kisi ne khun ka badla liya nain

abhi suraj mein thodi raushni hai
zamin ka rang bhi phika pada nain

dar-o-diwar ke meamar dekhen
ye ghar buniyaad se ab bhi hila nain

ye rasta shahr ke naqshe mein hoga
ye rasta sirf aankhon mein khula nain

ye duniya is liye aadhi hai ab tak
piyala dard se pura bhara nain

wahi aankhen wahi chehra wahi baat
kisi taswir mein kuchh bhi naya nain

hamein kuchh kaam karne hain yahan par
ye mana kaam ka koi sila nain

usi ke mashware ko mante hain
ye dil jaisa bhi hai utna bura nain

badan ki khak par chhinte lahu ke
kahan se aae hain hum ne kaha nain

musalsal rone wale hans rahe hain
ye koi chhota-mota waqia nain

kisi ke dukh ka charcha ho raha hai
koi dukh aise dukh se to siwa nain

ye baat ek roz duniya man legi
hamare jurm ki koi saza nain

koi sota nahin hai kya sar-e-sham
koi bhi munh andhere jagta nain

nahin malum un ko yaad hai kya
hamein to ek din bhi bhulta nain

bhula ho gar koi samjhae un ko
namak-pashi mein tasir-e-shifa nain

kahan par kaun tha jo ab nahin hai
kisi se puchhne ka hausla nain

kisi ka sochna ruk ruk ke chalna
munasib tha magar achchha laga nain

koi taslim karta hi nahin kuchh
abhi shayad koi itna bada nain

hamein jaise koi zid ho gai thi
jo duniya ne kaha hum ne kiya nain

khud apne waste mushkil hue jab
hamein aasan phir kuchh bhi mila nain

libas-o-waza shayad ek se hon
magar andar se koi ek sa nain

abhi to zehn saiqal ho raha hai
jo likhna hai abhi hum ne likha nain

abhi tukde ikatthe ho rahe hain
abhi tuta hua rishta juda nain

ye manzar is jagah pahle nahin tha
to kya hai phir agar ye moajiza nain

nai basti mein aabaadi bahut hai
magar koi kisi ko jaanta nain

hum ek tanha sadi ke pesh-rau hain
hamara aisa-waisa martaba nain

shajar phutega phir ek din zamin se
hai dawa zindagi ka maut ka nain

khuda se rabta kar ke to dekho
phir us ke baad kah dena khuda nain

chahaar-atraf aisi thi chaka-chaund
kisi ki aankh se parda hata nain

ye lagta hai magar ye sach nahin hai
ki puri baat koi jaanta nain

yahi tufan bhi barpa karenge
hamare dost pani aur hawa nain

isi mitti mein mitti ho rahenge
isi mitti ko koi puchhta nain

uthi shoalon se bachche khelte the
lagi phir aag to kuchh bhi bacha nain

anasir hukm ki tamil mein hain
dua ki dastaras se mawara nain

agar mubham raha insan to kya
yahan to aasmanon ka sira nain

hai mushkil khauf ko taskhir karna
samundar par karna marhala nain

wahan ke phul chunna chahte hain
hamara jis zamin se rabta nain

usi ke dhyan mein uljhe hue hain
hamein jo aankh utha ke dekhta nain

hamein apni khabar bas is qadar hai
ki agli sans tak ka bhi pata nain

na jaane kya hai phir jo mangta hai
ye dil kuchh bhi to us se mangta nain

tamam aasudgi aasudgi bas
magar aise bhi jine ka maza nain

barabar iztirab aur be-yaqini
bahut badh jae to ye bhi bhala nain

to phir hum kis tarah se khush rahenge
magar khush is tarah koi raha nain

ye sab be-kar ki baaten hain shayad
hamara asl mein ye masala nain

ye wo kya todte hain jodte hain
na jaane kya hai jo ab tak bana nain

ghubar-e-waqt hain par mante hain
qusur is mein zara bhi waqt ka nain

batana soch kar tabir is ki
muabbir ye ishaara raat ka nain

hamari sans ukhad jae to kya hai
yahi to zindagi ki intiha nain

zaban chhaalon se bhar jae to kya hai
kabhi munh se hamein kuchh bhulna nain

adhuri baat rah jae to kya hai
adhuri baat ko bhi kya baqa nain

na aani thi na aai duniya-dari
magar sharmindagi us ki zara nain

bahut hi dur se aawaz aai
hamein aise laga hum ne suna nain

kabhi lagta hai hum waise nahin hain
kabhi lagta hai hum us se juda nain

jo zahir tha use to kya chhupate
chhupana chahte the jo chhupa nain

musafir thodi mohlat hai tere pas
safina itni jaldi dubta nain

bahut kuchh hai jo pani pe likha hai
kisi ne aaj tak bhi jo padha nain

kisi ki maut ka matlab fana hai
kisi ki maut ka matlab fana nain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close