duniya-e-kharabaat se pahle bhi kahin tha main apni mulaqat se pahle bhi kahin tha aalam to abhi kal ke hain takhliq mere dost main arz-o-samawat se pahle bhi kahin tha main aaj bhi hun kal bhi kahin hunga yaqinan aur arsa-e-auqat se pahle bhi kahin tha kahte the malaek ki ye insan hai fitna yani ki main khadshat se pahle bhi kahin tha logon ko to idrak mera aaj hua hai main sari khurafat se pahle bhi kahin tha har shai ki mere dam se hi pahchan hui hai main kashf-o-karamat se pahle bhi kahin tha main hazrat-e-insan anal-ishq anal-husn aadam ki hikayat se pahle bhi kahin tha har chiz mere waste raqsan hai jahan ki main mahfil-o-naghmat se pahle bhi kahin tha jis raat khuda-pak ne iqrar liya tha 'tahsin' main us raat se pahle bhi kahin tha