ye duniya sang-dil aur bewafa hai bhala is ne kisi ko kya diya hai khuda hi hai nigahban ab hamara yahan har-gam par fitna bapa hai natija hashr mein is ka milega jahan mein jis ne jo kuchh bhi kiya hai nibhao wada wo roz-e-azal ka ye mauqa umr bhar ka jo mila hai karo duniya mein tum ehsan sab par yahi tarik raaton ka diya hai sila mehnat ka milta hai jahan mein siwa is ke yahan par kya mila hai wahi maqbul hai dargah-e-rab mein amal wo nek jo tu ne kiya hai teri ye jaan-fishani mard-e-momin husul-e-khair ka behtar sila hai sila ye hai khulus-e-dil ka be-shak sukun se 'faiz' ab tak ji raha hai