mujh ko mazi ka suhana sa zamana yaad hai doston se raat-din milna milana yaad hai bahami wo guftugu wo qahqahe sargoshiyan mahfilon mein baith kar hansna hansana yaad hai lala-o-gul par tawaf-e-ishq karti titliyan aur ghunchon ka mahakna lahlahana yaad hai nikhat-e-gul se moattar wo bahaar-e-gulsitan wo hasin andaz se dil ka lubhana yaad hai subh-dam chalna nazakat se nasim-e-subh ka aur chidiyon ka usi dam chahchahana yaad hai wo nishane par kisi ko takna sayyaad ka dafatan chidiyon ka mil kar ghul machana yaad hai qatra-e-shabnam ka girna phul ke rukhsar par aur bhanwaron ka wahan kuchh gungunana yaad hai pur-kashish ghunchon ke dilkash aks ki wo aarsi aur wo taron ke jaise jhilmilana yaad hai khushbu-o-khush-rang phulon se muzayyan gulsitan 'faiz' wo baad-e-bahaaran ka rijhana yaad hai