ye durweshon ki basti hai yahan aisa nahin hoga libas-e-zindagi phat jaega maila nahin hoga share-bazar mein qimat uchhalti girti rahti hai magar ye khun-e-muflis hai kabhi mahnga nahin hoga tere ehsas ki inten lagi hain is imarat mein hamara ghar tere ghar se kabhi uncha nahin hoga hamari dosti ke bich khud-gharzi bhi shamil hai ye be-mausam ka phal hai ye bahut mitha nahin hoga purane shahr ke logon mein ek rasm-e-murawwat hai hamare pas aa jao kabhi dhoka nahin hoga ye aisi chot hai jis ko hamesha dukhte rahna hai ye aisa zakhm hai jo umr bhar achchha nahin hoga