sahar ko bhi meri mahfil mein barhami na hui tamam-raat hui dard mein kami na hui ghurur-e-husn tamanna-e-dil ka dushman tha wo kaun din tha ki jis din hamahami na hui umand rahi hai mere dil ke sath barson se ye koi nahr hui aankh ki nami na hui main apne qatl ka shaki nahin hua to hua ye ranj hai ki tere zulm mein kami na hui lahad pe aane ki andaz saikdon the magar khush aai waza unhen wo jo matami na hui ulat ulat gae dil mere intiqal ke baad ye kya ki aap ki zulfon mein barhami na hui hazaron uth gae aaghosh-e-dahr se lekin ajib ghar hai zamana jahan ghami na hui ye jism ruh-e-bahi-khwah ka raha dushman tamam-umr kabhi sulh-e-bahami na hui har ek ke liye khincha rawa nahin 'saqib' bhawon ka husn hi kya hai agar khami na hui