ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai main us se jit gaya hun ki mat ho gai hai main ab ke sal parindon ka din manaunga meri qarib ke jangal se baat ho gai hai bichhad ke tujh se na khush rah sakunga socha tha teri judai hi wajh-e-nashat ho gai hai badan mein ek taraf din tulua main ne kiya badan ke dusre hisse mein raat ho gai hai main jangalon ki taraf chal pada hun chhod ke ghar ye kya ki ghar ki udasi bhi sath ho gai hai rahega yaad madine se wapsi ka safar main nazm likhne laga tha ki nat ho gai hai