ye faisla bhi mere dast-e-ba-kamal mein tha jo chhinne mein maza hai wo kab sawal mein tha kis aaftab ki aahat se shahr jag utha wagarna main bhi kahin mast apne haal mein tha tere bayan ne dikhaya jo aaina to khula ki har shuur mere gosha-e-khayal mein tha mere safar ke liye roz-o-shab bane hi nahin tumhin kaho ki main kab qaid-e-mah-o-sal mein tha ragon mein reg-e-rawan tha gurez-pai ka lahu asir ajab khwahishon ke jal mein tha mere gurez ne ahd-e-sitam ko tul diya ye eqtidar to kab se yunhi zawal mein tha ajib lams ki lazzat hai meri banhon mein wahi maza hai jo us khwab ke visal mein tha