ye faqat shorish-e-hawa to nahin koi mujh ko pukarta to nahin bol ai akhtar-e-ghunuda-e-subh koi raaton ko jagta to nahin sun ki ye madd-o-jazr-e-sahil-e-bahr majraon ka majra to nahin zehn par ek khurduri si lakir kankhajure ka rasta to nahin ret par chadh rahi hai ret ki tah babul o misr o nainwa to nahin nok-e-har-khar-o-khas hai khun-alud ruh-e-sahra barhana-pa to nahin ai meri jaan-e-mubtala ke sukun tu koi jaan-e-mubtala to nahin tere jism-e-hasin mein khwabida bagh-e-jannat ka azhdaha to nahin