mujh ko meri shikast ki dohri saza mili tujh se bichhad ke zindagi duniya se ja mili ek qulzum-e-hayat ki jaanib chali thi umr ek din ye ju-e-tishnagi sahra se aa mili ye kaisi be-hisi hai ki patthar hui hai aankh waise to aansuon ki kumak bar-ha mili main kanp utha tha khud ko wafadar dekh kar mauj-e-wafa ke pas hi mauj-e-fana mili diwar-e-hijr par the bahut sahibon ke nam ye basti-e-firaq bhi shohrat-sara mili phir rud-e-bewafai main bahta raha ye jism ye ranj hai ki teri taraf se dua mili wo kaun khush-nasib the jo mutmain phire mujh ko to us nigah se usrat siwa mili ye umr umr koi taaqub mein kyun rahe yaadon mein gunjti hui kis ki sada mili jis ki hawas ke waste duniya hui aziz wapas hue to us ki mohabbat khafa mili