ye faza-e-nil-gun ye baal-o-par kafi nahin mah-o-anjum tak mera zauq-e-safar kafi nahin ek saat ek sadi hai ek nazar aafaq-gir ab nizam-e-gardish-e-sham-o-sahar kafi nahin phir junun ko wusat-e-aflak hai koh-e-nida ai dil-e-diwana dasht-e-pur-khatar kafi nahin ye hawa-e-nam ye sine mein sulagti aag si aah ye umr-e-rawan ki rah-guzar kafi nahin phir mashiyyat se ulajhti hai meri diwangi nala-e-shab-gir ashkon ke guhar kafi nahin aarzu-e-be-karan hai aur jism-e-na-tawan kya rag-e-jaan ke liye ye neshtar kafi nahin khunki-e-shabnam se ghunche ko nahin taskin-e-qalb zakhm-e-gul ko ab nasim-e-chaara-gar kafi nahin shisha-e-shab mein bhari hai 'fauq' jo sahba-e-kaif qatra qatra bhi piyun to raat bhar kafi nahin