ye gard-e-rah ye mahaul ye dhuan jaise hawa ke rukh pe ho tahrir dastan jaise hamara rabt-o-talluq hai chand shamon ka shajar pe tair-e-mausam ka aashiyan jaise ajib khauf sa hai pattharon ki zad par hun badan ho apna koi kanch ka makan jaise ye aasman-o-zamin ka tilism kab tute har ek wajud muallaq ho darmiyan jaise lab-o-dahan se koi kaam hi nahin leta har ek baat hai na-qabil-e-bayan jaise