yun hujra-e-khayal mein baitha hua hun main goya mera wajud nahin wahima hun mein phaila hai jab se ghar mein samundar sukut ka be-chaargi ki chhat pe khada chikhta hun main dekho meri jabin pe mere ahd ke nuqush rakkho mujhe sambhaal ke ek aaina hun main ab tak shab-e-qayam ka ek silsila bhi tha ab aaftab ban ke safar par chala hun main khud se to ru-shanas abhi tak na ho saka ye ittifaq hai ki jo tum se mila hun main