ye gawara ki mera dast-e-tamanna bandhe apni mahram ko na kas kar koi itna bandhe badh ke aae nigah-e-shauq balaen le le koi baitha hai kis andaz se juda bandhe shohrat-e-be-asari koi mitae kyun kar ho na dard aah mein to koi hawa kya bandhe dhajjiyan kya mere daman ki mere kaam aaen baith kar dasht mein sab aabla-e-pa bandhe hai buri baat kaho khol ke botal rakh de shaikh pagdi mein na bazar ka sauda bandhe ek zara kha le hawa najd ki thandi thandi kah do laila abhi mahmil mein na parda bandhe bikhri zulfen yunhi lahraen rukh-e-raushan par kabhi juda na mera gesuon wala bandhe jab main dekhun meri aankhon mein mera ghar phir jae chakkar itna to bayaban mein bagula bandhe hum ne dekha taraf-e-mai-kada jate the 'riyaz' ek asa thame aba pahne amama bandhe