shamshir meri, meri sipar kis ke pas hai do mera khud par mera sar kis ke pas hai darpesh ek kaam hai himmat ka sathiyo kasna hai mujh ko meri kamar kis ke pas hai tari ho mujh pe kaun si haalat mujhe batao mera hisab-e-naf-o-zarar kis ke pas hai ai ahl-e-shahr main to dua-go-e-shahr hun lab par mere dua hai asar kis ke pas hai dad-o-sitad ke shahr mein hone ko aai sham khwahish hai mere pas khabar kis ke pas hai pur-haal hun pa surat-e-ahwal kuchh nahin hairat hai mere pas nazar kis ke pas hai ek aaftab hai meri jeb-e-nigah mein pahnai-e-numud-e-sahar kis ke pas hai qissa kishor ka nahin koshak ka hai ki hai darwaza sab ke pas hai ghar kis ke pas hai mehman-e-qasr hain hamein kuchh ramz chahiyen ye puchh ke batao khandar kis ke pas hai uthla sa naf-pyala hamari nahin talash ai ladkiyo! batao bhanwar kis ke pas hai nakhun badhe hue hain mere mujh se kar hazar ye ja ke dekh nail-cutter kis ke pas hai