ye gham nahin ki khushi mein bhi kuchh maza na raha hamein ye gham hai ki ab gham bhi jaan-faza na raha wo khwab tha ki jien dil ki aarzu ke liye ye waqia hai ki marne ka hausla na raha na koi yar na koi dayar kya kije siwae sans ke ab koi silsila na raha zaban kanton ki pyasi rahe rahe na rahe hamare panw mein jab koi aabla na raha bas ek arz o sama rah gae hain le de ke siwae un ke koi apna aashna na raha hazar naqsh bana aur hazar naqsh mita kisi waraq pe haqiqat ka majra na raha