ye mana nit-nae fitne ajab ranjan-o-mehan jage magar ye bhi to dekho chaar-su kya kya chaman jage bujhe baithe rahen kab tak bas ab shishe ko chhalkao lahu chahke nafas mahke khirad nache badan jage koi aisi bhi saat ho koi aisi bhi shab aae ki meri hasraten so jaen tera bankpan jage kitab-e-jism narmi se waraq andar waraq dekhen hijab-e-shauq garmi se shikan andar shikan jage khumar-e-be-dili had se fuzun hai aur dil tanha koi aisi ghazal chhedo ki har dagh-e-kuhan jage kaho gesu-e-mushkin se ki baadal jhum kar uthen zara band-e-qaba kholo ki gul ki anjuman jage piyo wo shai jo hum pite hain jam pita tha zamzam kya jise pine se ai waiz na tan jage na man jage