ye ghar sarab-e-tamanna dikhai deta hai jise bhi dekhiye pyasa dikhai deta hai ye kaenat bhi ek khwab-e-na-tamam si hai aur is ka silsila dhoka dikhai deta hai qarib aae to lagta hai jism khushbu ka wo dur se koi shoala dikhai deta hai main ek makan ki tarif kis tarah kar dun ye sara shahr hi achchha dikhai deta hai hazar chehre dhundlakon mein kho gae 'ashhar' jidhar bhi dekhiye sahra dikhai deta hai