kaha jo us ne ki kahiye to kuchh gila kya hai meri zaban se nikla ki faeda kya hai udas dekh ke mahfil ko meri kahte hain yahan bhi koi musibat ka mubtala kya hai bas aaj tak to bahut khub hijr mein guzri ab aage dekhiye taqdir mein likha kya hai tamam ho gae hum dastan ho gai khatm ab aur qissa-e-furqat ki intiha kya hai gale se aa ke mile wo to aur dil tadpa badhe dawa se to phir dard ki dawa kya hai har ek ashk ke qatre mein khun ki shirkat ne hamara zakhm-e-jigar be-mahal hansa kya hai jo dekhta hun kabhi aaina main furqat mein to khud bhi kahta hun ye aap ko hua kya hai sitam pe dad ke khwahan tumhin se hain 'jawed' wo jaanen kya ki jafa kya hai aur wafa kya hai