ye ghunghat kya burqa kya rida kya utha jab aankh ka parda raha kya ye sach hai pet hi khali agar ho kisi ka ghamza-o-naz-o-ada kya hawa gar jail ki khae na leader use khaddar pahanne ka maza kya mohazzab hi rahe talim ke baad to phir school mein tum ne padha kya ho dakhil jab hawa mein oxigen abas koi kare fikr-e-ghiza kya utha kar pi liya ek jam-e-rangin faqat khushbu hi us ki sunghta kya nahin man bap ki izzat salamat chachi kya chiz hai 'hashim' chacha kya