yun to dushwar hai chhote ka bada ho jaana har bhatije ki hai mearaj chacha ho jaana hosh to hosh langoti bhi gai majnun ki kitna mahnga pada laila pe fida ho jaana kam se kam wo sar-e-bazar to uchhle kore le ke pagdi sar-e-waiz se hawa ho jaana hum ne dekha hai inhin aankhon se kuchh bandon ka chadh ke kursi-e-wazarat pe khuda ho jaana yaad aata hai to aati hai raqibon pe hansi dekhte hi mujhe wo un ka hawa ho jaana ye to hai zoaf-e-masana ki dalil ai waiz har sahar teri namazon ka qaza ho jaana un ki bhabhi ne budhape mein diya hai bachcha ab musallam hua 'hashim' ka chacha ho jaana