ye hadisa bhi sar-e-rahguzar hona tha teri talash mein mujh ko ghubar hona tha uchak liya hai unhen bhi khizan ke mausam ne wo phul-pat ki jin ko bahaar hona tha hamein khabar thi teri tarz-e-baadshahi se hunar-warow ko hi be-ikhtiyar hona tha unhi ke hath gareban mein pade hue hain jinhen sada se hi khidmat-guzar hona tha guman ki dhul mere dil pe mal gaya hai wahi wo shakhs jis ko mera e'tibar hona tha bharosa ghair ki chhanw pe hum na karte agar saron pe saya-e-parwardigar hona tha badal diya unhen mitti ke bartanon mein 'nabil' wo chizen jin ko bahut paedar hona tha