gham khane mein buda dil-e-nakaam bahut hai ye ranj ki kam hai mai-e-gulfam bahut hai kahte hue saqi se haya aati hai warna hai yun ki mujhe durd-e-tah-e-jam bahut hai ne tir kaman mein hai na sayyaad kamin mein goshe mein qafas ke mujhe aaram bahut hai kya zohd ko manun ki na ho garche riyai padash-e-amal ki tama-e-kham bahut hai hain ahl-e-khirad kis rawish-e-khas pe nazan pabastagi-e-rasm-o-rah-e-am bahut hai zamzam hi pe chhodo mujhe kya tauf-e-haram se aaluda-ba-mai jama-e-ehram bahut hai hai qahr gar ab bhi na bane baat ki un ko inkar nahin aur mujhe ibram bahut hai khun ho ke jigar aankh se tapka nahin ai marg rahne de mujhe yan ki abhi kaam bahut hai hoga koi aisa bhi ki 'ghaalib' ko na jaane shair to wo achchha hai pa badnam bahut hai