ye hai meri nazron ki munajat ka aalam zarre bhi dikhate hain samawat ka aalam pur-nur tere husn se aaghosh-e-tasawwur duri mein bhi hasil hai mulaqat ka aalam ima ka hai faizan ki ehsas ka ehsan ek ek jafa mein hai mudaraat ka aalam jalwon ki ye kasrat hai ki hairan hain aankhen aaine dikhate hain hijabaat ka aalam dil par nahin qabu to zaban lakh ho bas mein nazron se jhalakta hai khayalat ka aalam har mauj-e-nafas un ki mahak se hai moattar pinhan hai taghaful mein inayat ka aalam kya zikr-e-sukhan un ki khamoshi mein bhi 'kaukab' angdaiyan leta hai kinayat ka aalam